We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

1

by Sifar

/
  • Streaming + Download

    Purchasable with gift card

     

1.
Main Jaaonga 03:27
[In Devanagari Script] उसने ये कहा क्यूँ है तू खफा तेरी ज़िन्दगी में है वो पल आना भी बचा क्यूँ खो कर यकीन अपनी आवाज़ में तेरा आसमान है, तेरा ही तो है जहाँ मेरे लेकिन कुछ दिन हैं ऐसे आज हूँ पर कल ना जाने कहाँ मैं जाऊँगा एक दिन मगर मैं जाऊँगा उसने ये कहा तू है आज़ाद फिर तेरी हर ख़ुशी में है तेरी जिद तेरी मंजिल गुम होकर यु कहीं इस झूठे गाँव में ना खोना तू यकीन तेरे संग है मेरा ये दिल मेरे लेकिन कुछ दिन हैं ऐसे आज हूँ पर कल ना जाने कहाँ मैं जाऊँगा एक दिन मगर मैं जाऊँगा मुझसे यूँ क्यूँ खफा है तू क्यूँ ये दूरी, क्यूँ जुदा है तू खोकर अपने दिल की ये आवाजें अपनी मंजिल से फना है तू मैं चाहूँगा तुझको मगर मैं जाऊँगा [In English Script] Usne ye kaha Kyun hai tu khafa Teri zindagi mein Hai vo pal aana bhi bacha Kyun kho kar yakin Apni aawaz mein Tera aasman hai Tera hi to hai jahan Mere lekin kuch din hain aise Aaj hun par kal naa jaane kahan Main jaaonga Ek din magar main Jaaonga Usne ye kaha Tu hai aazad fir Teri har khushi mein hai Teri zid teri manzil Gum hokar yu kahin Iss jhoothe gaaon mein Naa khona tu yakin Tere sang hai mera ye dil Mere lekin kuch din hain aise Aaj hun par kal naa jaane kahan Main jaaonga Ek din magar main Jaaonga Mujhse yu kyun khafa hai tu Kyun ye doori, kyun juda hai tu Khokar apne dil ki ye aawazein Apni manzil se fanaa hai tu Main chahunga tujhko magar Main Jaaonga
2.
[In Devanagari Script] कभी कभी में यह सोचता हूँ क्यूँ में खुद से खफा हूँ आगे बढ कर जा पहुचुं में उस पार मेरा गाँव हर कोई टोकता है बदने से रोकता है मुझे ठहरे ठहरे कदम हैं कैसे ढूंडू में अपनी रहे ना ना ना ना रोको ना रोको ना मुझे ना ना ना ना चूने दो आसमान मुझे भूलना है जो भी तुमने सिखाया मुझे ना ना ना ना रोको ना रोको ना मुझे ख़ामोशी में चीखता हूँ टुकड़ा टुकड़ा बटा हूँ आएने के दायरों में सिमटा सा क्यूँ में खड़ा हूँ कहीं पीछे भूल आया अपना एक छोटा साया मुझसे वो पूछता है उसे खो के क्या मैंने पाया ना ना ना ना रोको ना रोको ना मुझे ना ना ना ना चूने दो आसमान मुझे भूलना है जो भी तुमने सिखाया मुझे ना ना ना ना रोको ना रोको ना मुझे [In English Script] Kabhi kabhi mein ye sochta hun Kyun mein khud se khafa hun Aage bad kar ja pahuchu mein Us paar mera gaon Har Koi tokta hai Badne se rokta hai mujhe Thehre Thehre kadam hain Kaise dhoondu mein apni rahein Na Na Na Na Roko na; Roko na mujhe Na Na Na Na Choone do aasman mujhe Bhoolna hai Jo bhi tumne sikhaya mujhe Na Na Na Na Roko Na; Roko na mujhe Khamoshi mein cheekhta hun Tukda Tukda bata hun Aene ke dayro mein Simta sa kyun mein khada hun Kahin peeche bhool aaya Apna ek chota saya Mujhse vo poochta hai Use kho ke kya meine paya Na Na Na Na Roko na; Roko na mujhe Na Na Na Na Choone do aasman mujhe Bhoolna hai Jo bhi tumne sikhaya mujhe Na Na Na Na Roko Na; Roko na mujhe
3.
Chal Diye 03:12
[In Devanagari Script] तेरी यादें भी हैं मेरे साथ तेरी बातें भी हैं मेरे पास पल दो पल यूँ मिलके नए फ़साने थे बनाने पल दो पल यूँ मिलके बीती बातें दोहराने बीते दिन बीती रात फिर युहीं चल दिए तेरे बिन तेरे साथ फिर युहीं चल दिए तेरी चाहत भी है मेरे साथ तेरी ख्वाहिशे हैं मेरी हर नज़र के पास पल दो पल यूँ मिलके नए फ़साने थे बनाने पल दो पल यूँ मिलके बीती बातें दोहराने बीते दिन बीती रात फिर युहीं चल दिए तेरे बिन तेरे साथ फिर युहीं चल दिए [In English Script] Teri yaadein bhi hain mere saath Teri baatein bhi hain mere paas Pal do pal yun milke naye fasane the banane Pal do pal yun milke beeti baatein dohrane Beete din beeti raat Fir yuhin chal diye Tere bin tere saath Fir yuhin chal diye Teri chahat bhi hai mere saath Teri khwahishe hein meri har nazar ke paas Pal do pal yun milke naye fasane the banane Pal do pal yun milke beeti baatein dohrane Beete din beeti raat Fir yuhin chal diye Tere bin tere saath Fir yuhin chal diye
4.
Mita Do 04:16
[In Devanagari Script] लफ्ज़ यह दूरी हैं मेरी मजबूरी हैं इस अँधेरे में, नासूरों से कुछ बातें अधूरी हैं रास्ते मिट से गए शायद खो गया हूँ तो मिटा दो मुझे, अगर चाहो तो जला दो मुझे, अपनी नफरत में जोड़ो मुझे, अगर चाहो तो बना लो मुझे, अपनी हसरतें आसुओं के इस साए में बिखरा हुआ हूँ में वैसे भी इन राहों में थम सा गया हूँ में रास्ते मिट से गए शायद खो गया हूँ तो मिटा दो मुझे, अगर चाहो तो जला दो मुझे, अपनी नफरत में जोड़ो मुझे, अगर चाहो तो बना लो मुझे, अपनी हसरतें [In English Script] Lafz yeh doori hain Meri mazboori hain Is andhere mein nasooron se Kuch baatein adhoori hain Raaste mit se gaye Shayad kho gaya hun To mita do mujhe agar chaho To jala do mujhe apni nafrat mein Jodo mujhe agar chaho To bana lo mujhe apni hasrate Aasuon ke is saaye mein Bikhra hua hun mein Vaise bhi in rahon mein Tham sa gaya hun mein Raaste mit se gaye Shayad kho gaya hun To mita do mujhe agar chaho To jala do mujhe apni nafrat mein Jodo mujhe agar chaho To bana lo mujhe apni hasrate
5.
Gunah 03:36
[In Devanagari Script] मैं झूठा ही सही झूठे हैं सभी सोचो अगर मैं अपना भी नहीं तेरा था कभी ओ बेखबर मैं ऐसे मोड़ पर लाया हूँ तुझे तेरे बीते दिन की यादें अब हैं फिर यहाँ तेरे आसुओं की वजह हैं मेरे गुनाह मैं बुजदिल ही सही बुजदिल हैं सभी सोचो अगर मैं शायद खो जाऊँगा दुनिया की भीड़ में ओ हमसफ़र मैं ऐसे मोड़ पर लाया हूँ तुझे तेरे बीते दिन की यादें अब हैं फिर यहाँ तेरे आसुओं की वजह हैं मेरे गुनाह [In English Script] Mein jhoota hi sahi Jhoote hain sabhi Socho agar Mein apna bhi nahin Tera tha kabhi O bekhabar Mein aise mod par Laaya hun tujhe Tere beete din ki yaadein Ab hain fir yahan Tere aasuon ki vajeh Hain mere gunah Mein buzdil hi sahi Buzdil hain sabhi Socho agar Mein shayad kho jaonga Duniya ki bheed mein O humsafar Mein aise mod par Laaya hun tujhe Tere beete din ki yaadein Ab hain fir yahan Tere aasuon ki vajeh Hain mere gunah
6.
Raasta 03:17
Naa in nazaaro mein Naa tooti diwaron mein Chhat hai nahin to kya Paani ki bauchharo mein Ghar mera peeche hai kahin Koi baat nahin koi nahin Jaana kaha malum nahin Saathi nahin, manzil nahin Par fir bhi... Chal raha hun mein In oonche oonche raaston pe Jal raha hun mein Apni hi lau ki roshni mein Jud gaya hun mein Apne hi dil ki dhadkano mein Chal raha hun mein Koi mila to kya Koi juda to kya Fitrat akeli meri Kismat akeli meri Saara jahan peeche khada Mujhe poochta raasta mera Khamosh hai, sooraj mera Mere saamne saathi mera Par fir bhi... Chal raha hun mein In oonche oonche raaston pe Jal raha hun mein Apni hi lau ki roshni mein Jud gaya hun mein Apne hi dil ki dhadkano mein Chal raha hun mein
7.
Aakhiri Din 04:36
Sagar mein bahoge tum ya taro mein rahoge tum Kya karoge tum Sasti purani kitabon mein, un tooti footi dukano mein Kya dhoondte ho tum Kisko tum bulaoge, ehsaan manaoge Agar tumhara ho Koi na aage raasta na peeche hai khada Aa gaya hai jo Aakhiri Din Kagaz ki kashti thi zindagi, tune kinare pe fir kyun ji Ab maan ja Khwabon ka rasta tha tere paas, tujhme chupa tha koi khaas Pehchaan jaa Tera hamesha se tha jahan tera aasman Na apnaya kyun Koi na aage raasta na peeche hai khada Aa gaya hai jo Aakhiri Din
8.
Kala Aasman 03:55
Yeh kaisi thi zid teri Chahi khushi par vo na mili Yeh kaun si tune rah chuni Koi rastaa dikhta nahin Tune na socha kya tune kho diya Tune jo chaha vo tujhko na mila Yeh kaise manzil jispe tu aa gaya Sookhi zameen hai, hai kala aasman Kaisi baarish jo tujhpe aa rahi Girti boondein tujhko jala rahi Ab kaise jaye to vapas vahan Jahan nahin tha kala ye aasman Ek chota sa badal uda Usne dhak diya sara jahan Kahin dab gayi sari kayanaat Toote shikhar doobe shaher Uthta dhuan Jal raha hai ab ye sara jahan Jal rahi hai teri ye duniya Kya karega ab tu jaye kahan Na koi rasta na koi aashiyan Kaisi baarish jo tujhpe aa rahi Girti boondein tujhko jala rahi Kaise jaye to vapas vahan Jahan nahin tha kala ye aasman Tune na socha kya tune kho diya Tune jo chaha vo tujhko na mila Yeh kaise manzil jispe tu aa gaya Sookhi zameen hai, hai kala aasman Kaisi baarish jo tujhpe aa rahi Girti boondein tujhko jala rahi Ab kaise jaye to vapas vahan Jahan nahin tha kala ye aasman
9.
Saari dilli mein raunak hai aur mein hun akela Lagenge do ghante ya chaar, iss traffic mein yaar Saari duniya paagal hai aur mein hun akela Band ho gayi hai dukaan, mein hun commonwealth insaan Tu bhi hai, mein bhi hun Iss duniya ke dono bande Tu khush hai, mein chup hun Aur thoda pareshaan Yeah Yeah Yeah Yeah Khelo jeeto phir ye bolo Yeah Yeah Yeah Yeah Ab to jaane do na yaar Saari dilli hai nai nai par mein hun puraana Ab lagta hai baemaan, mujhko saara jahan Saari duniya paagal hai aur mein hun akela Lagenge do ghante ya chaar, iss traffic mein yaar Tu bhi hai, mein bhi hun Iss duniya ke dono bande Tu khush hai, mein chup hun Aur thoda pareshaan Yeah Yeah Yeah Yeah Khelo jeeto phir ye bolo Yeah Yeah Yeah Yeah Ab to jaane do na yaar
10.
TV 02:24
Baitha tha ek din mein Apne TV ke saamne Socha uska phone ayega To baitha tha phone ke paas mein Yeah Yeah hui subah Yeah Yeah yeh ruhtha samaa Uska jo boyfriend tha Mera vo room mate tha Sapne sare meine dekhe Par hoti nahi subah Mera TV mujhe bachaa Meri zindagi hoti tabah Baitha tha ek din mein Apne TV ke saamne Socha uska phone ayega To baitha tha phone ke paas mein Yeah Yeah hui subah Yeah Yeah yeh ruhtha samaa Mera TV mujhe bachaa Meri zindagi hoti tabah Mera TV mujhe bachaa Meri zindagi

credits

released October 18, 2011

"Mita Do", "Main Jaaonga", "Gunah", "Chal Diye", "Commonwealth Insaan", and "TV" written and composed by Amit Yadav
"Roko Na Mujhe", "Kala Aasman", "Aakhiri Din", and "Raasta" written and composed by Anshul Bansal

Performances:
Vocals, Guitars, and Synths by Amit Yadav
Bass by Yapang Lemtur
Drums by Deepak Singh

Except:
Guitar Solo on "Commonwealth Insaan" by Saibal Basu
Guitar Intro on "Kala Aasman" by Anshul Bansal
Bass on "Gunah", and "Raasta" by Amit Yadav
Drums on "Gunah" by Amit Yadav
Backing Vocals on "TV" by Yapang Lemtur

Recording Engineers: Amit Yadav, Sachin Mittra, and Sukhamrit Soin
Mixing and Mastering Engineer: Gaurav Dayal

Music Producer/ Arranger: Amit Yadav
Executive Producer: Gaurav Dayal

Graphics Art: J. J. Verhoef

license

all rights reserved

tags

about

Sifar UK

Official Website of the Rock band Sifar.

contact / help

Contact Sifar

Streaming and
Download help

Shipping and returns

Redeem code

Report this album or account

If you like Sifar, you may also like: